Sunday, December 30, 2007

Woh dard phir se ubharne lage hain
Kaleje men nashtar utarne lage hain
Chupaaye the hum ne jo palkon pe moti
Wohi toot kar ab bikharne lage hain
Andhere se seena sapar the jo kal tak
Wo apne hi saaye se darne lage hain
Udaasi ki saughaat dekar hamen
wo Judaai ka saamaan karne lage hain
Jo bharte the dam dosti ka hamesha,
Wo baton se apni mukarne lage hain
Asar hai mere khoone-dil ka ye shaayad
Ke ash'aar itne nikharne lage hain
Tumhe kya zaroorat hai kaajal ki
Ke gham rang aankhon me bharne lage hain.

No comments: